Dua

 Syeda Ayesha Salamullah kehti hai maine rasul Allah Sallahu Alaihy Wassalaam ko khush dekha to kaha ya RasulAllah! Allah Pak se mere liye dua kijiye.

Aap Sallahu Alaihy Wassalaam ne Farmaya: ay Allah ayesha ke agle pichle gunah maaf farma jo chup kar kiye gaye jo zahir kiye.

ayesha Salamullah Alaiha muskurane lagi hatta ke unka sar Aap Sallahu Alaihy Wassalaam ki godh me aagya. Aapne Ne Farmaya kia meri dua achhi lagi? unho ne kaha : mujhe kia hua ke aapki dua mujhe Achhi na lage. Aap Sallahu Alaihy Wassalaam ne Farmaya.Allah ki qasam mai har namaz me Apni ummat ke liye yehi dua karta hu.


📓(Sahih ibn Hibban: 7111)

Comments

Popular posts from this blog

Abu Talib A.s ki pyaas

Rethem